nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho
naach ho rang ho ahbāb kī mehmānī ho
ho ajab lutf jo laḌkoñ kī musalmānī ho
qorma zarda ho biryānī ho būrānī ho
hāñDī mauqūf ke takiye meñ ye dīvānī ho
tujh ko mā'lūm ho hāl-e-shab-e-furqat ai shaiḳh
ek din tujh se judā gar tirī shaiḳhānī ho
saḳht patthar hai tirā naaz but-e-sañgīn dil
vo uThā.e tire ġhamzoñ ko jo bandhānī ho
mere bistar ko saḌe TaaT kā TukḌā hove
tirī gaddī ke liye maḳhmal-e-kāshānī ho
sabz rangoñ kā zarā daur to aa.e zāhid
tū sahī bhang amāme meñ tire chhānī ho
ġham-zada ālam-e-tanhā.ī meñ ham baiThe haiñ
jaa.e kailāsh ke mele ko jo sailānī ho
aḌve bhaḌvan pe girī paḌtī ho kuchh sharm nahīñ
tum to nochī se sivā nā.ika mastānī ho
motiyābind huā jaatā hai āñkhoñ meñ yahāñ
ab bhī aa jaao jo sūrat tumheñ dikhlānī ho
qatl-e-āshiq ke sivā aur koī kaam nahīñ
tum bhī changez ho yā nādir-e-durrānī ho
mehr ne sun ke ye ash.ār 'ināyat' se kahā
tum 'nizāmī' ho ki 'sādī' ho ki 'ḳhāqānī' ho
nach ho rang ho ahbab ki mehmani ho
ho ajab lutf jo laDkon ki musalmani ho
qorma zarda ho biryani ho burani ho
hanDi mauquf ke takiye mein ye diwani ho
tujh ko ma'lum ho haal-e-shab-e-furqat ai shaiKH
ek din tujh se juda gar teri shaiKHani ho
saKHt patthar hai tera naz but-e-sangin dil
wo uThae tere ghamzon ko jo bandhani ho
mere bistar ko saDe TaT ka TukDa howe
teri gaddi ke liye maKHmal-e-kashani ho
sabz rangon ka zara daur to aae zahid
tu sahi bhang amame mein tere chhani ho
gham-zada aalam-e-tanhai mein hum baiThe hain
jae kailash ke mele ko jo sailani ho
aDwe bhaDwan pe giri paDti ho kuchh sharm nahin
tum to nochi se siwa naika mastani ho
motiyabind hua jata hai aankhon mein yahan
ab bhi aa jao jo surat tumhein dikhlani ho
qatl-e-ashiq ke siwa aur koi kaam nahin
tum bhi changez ho ya nadir-e-durrani ho
mehr ne sun ke ye ashaar 'inayat' se kaha
tum 'nizami' ho ki 'sadi' ho ki 'KHaqani' ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.