nachiz bhi KHuban se mulaqat mein gum hai
nāchīz bhī ḳhūbāñ se mulāqāt meñ gum hai
majzūb zarā sair-e-maqāmāt meñ gum hai
kyā sham.a jalātā hai ki ai daulat-e-shab-e-tāb
kal sub.h kā sūraj to tirī gaat meñ gum hai
khulte hī nahīñ lams pe us jism ke asrār
sayyāh ajab shahr-e-tilismāt meñ gum hai
maiñ Duub gayā jab tire paikar meñ to TuuTā
ye vahm ki tū ḳhud hī mirī zaat meñ gum hai
yā husn hī is shahr meñ kāfir nahīñ hotā
yā ishq yahāñ izzat-e-sādāt meñ gum hai
nachiz bhi KHuban se mulaqat mein gum hai
majzub zara sair-e-maqamat mein gum hai
kya shama jalata hai ki ai daulat-e-shab-e-tab
kal subh ka suraj to teri gat mein gum hai
khulte hi nahin lams pe us jism ke asrar
sayyah ajab shahr-e-tilismat mein gum hai
main Dub gaya jab tere paikar mein to TuTa
ye wahm ki tu KHud hi meri zat mein gum hai
ya husn hi is shahr mein kafir nahin hota
ya ishq yahan izzat-e-sadat mein gum hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 100)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.