nadan dil-fareb mohabbat na kha kabhi
nādān dil-fareb mohabbat na khā kabhī
duniyā meñ kis ne kī hai kisī se vafā kabhī
aisā bhī ittifāq junūñ meñ huā kabhī
maiñ hañste hañste soch ke kuchh ro paḌā kabhī
baiThā huuñ is umiid pe ik rahguzār par
le aa.e is taraf tujhe shāyad ḳhudā kabhī
ai dil ye merā husn-e-samā.at na ho kahīñ
tū ne bhī kyā sunī hai vo āvāz-e-pā kabhī
us rashk-e-gul ke saath ga.ī thī ḳhirām ko
phir lauT kar idhar nahīñ aa.ī sabā kabhī
'rif.at' ġhamoñ kī tez havāoñ ke bāvajūd
ham ne charāġh dil kā na bujhne diyā kabhī
nadan dil-fareb mohabbat na kha kabhi
duniya mein kis ne ki hai kisi se wafa kabhi
aisa bhi ittifaq junun mein hua kabhi
main hanste hanste soch ke kuchh ro paDa kabhi
baiTha hun is umid pe ek rahguzar par
le aae is taraf tujhe shayad KHuda kabhi
ai dil ye mera husn-e-samaat na ho kahin
tu ne bhi kya suni hai wo aawaz-e-pa kabhi
us rashk-e-gul ke sath gai thi KHiram ko
phir lauT kar idhar nahin aai saba kabhi
'rifat' ghamon ki tez hawaon ke bawajud
hum ne charagh dil ka na bujhne diya kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.