nadan hain wahin jinko adawat si lage hai
nādāñ haiñ vahīñ jin ko 'adāvat sī lage hai
ham ko tirī har baat 'ināyat sī lage hai
shikva sā lage hai na shikāyat sī lage hai
us lab pe har ik baat mohabbat sī lage hai
kis kis ko tirī aaḌ meñ sab luuT rahe haiñ
ye to hameñ be-nām siyāsat sī lage hai
behtar hai tire sāmne ham lab hī na kholeñ
har baat tujhe aaj shikāyat sī lage hai
kahte haiñ tumheñ ab nahīñ ehsās kisī kā
ye baat hameñ ik na.ī tohmat sī lage hai
ik moḌ pe tū ne jo mirā saath diyā thā
har moḌ pe ab terī rifāqat sī lage hai
tapte hue sahrā meñ kahāñ chain jigar ko
haañ sāya-e-dāman meñ to rāhat sī lage hai
shāyad mirā ehsās hī sab kuchh hai ki duniyā
sahrā sī lage hai kabhī jannat sī lage hai
phūloñ kī mahak hai na shagūfoñ kī latāfat
phailī huī har-sū tirī nik.hat sī lage hai
kyā kahiye 'hayāt' aaj hai vo daur-e-junūñ-ḳhez
chehre pe har ik fard ke vahshat sī lage hai
nadan hain wahin jin ko 'adawat si lage hai
hum ko teri har baat 'inayat si lage hai
shikwa sa lage hai na shikayat si lage hai
us lab pe har ek baat mohabbat si lage hai
kis kis ko teri aaD mein sab luT rahe hain
ye to hamein be-nam siyasat si lage hai
behtar hai tere samne hum lab hi na kholen
har baat tujhe aaj shikayat si lage hai
kahte hain tumhein ab nahin ehsas kisi ka
ye baat hamein ek nai tohmat si lage hai
ek moD pe tu ne jo mera sath diya tha
har moD pe ab teri rifaqat si lage hai
tapte hue sahra mein kahan chain jigar ko
han saya-e-daman mein to rahat si lage hai
shayad mera ehsas hi sab kuchh hai ki duniya
sahra si lage hai kabhi jannat si lage hai
phulon ki mahak hai na shagufon ki latafat
phaili hui har-su teri nikhat si lage hai
kya kahiye 'hayat' aaj hai wo daur-e-junun-KHez
chehre pe har ek fard ke wahshat si lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.