nadan hoshiyar bane jin ke rup se
nādān hoshiyār bane jin ke ruup se
vo bhī jhulas ga.e haiñ havādis kī dhuup se
hamrāh ajnabī ke bahut duur tak gayā
chehra thā miltā jultā zarā un ke ruup se
kaisī havā ye aa.ī gulistāñ se garm garm
kyā phuul sho.ale ban ga.e sāvan kī dhuup se
kyā kyā na hādse mire dil par guzar ga.e
lekin shaguftagī na ga.ī rañg-rūp se
'vājid' use na manzil-e-maqsūd mil sakī
ghabrā ke rah gayā jo masā.ib kī dhuup se
nadan hoshiyar bane jin ke rup se
wo bhi jhulas gae hain hawadis ki dhup se
hamrah ajnabi ke bahut dur tak gaya
chehra tha milta julta zara un ke rup se
kaisi hawa ye aai gulistan se garm garm
kya phul shoale ban gae sawan ki dhup se
kya kya na hadse mere dil par guzar gae
lekin shaguftagi na gai rang-rup se
'wajid' use na manzil-e-maqsud mil saki
ghabra ke rah gaya jo masaib ki dhup se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.