nadaniyon ko ek naya rang de diya
nādāniyoñ ko ek nayā rang de diyā
dānista maiñ ne haath tah-e-sang de diyā
merā ḳhayāl thā ye koī nek kaam hai
maiñ ne tumhāre dard ko āhang de diyā
duniyā meñ aur mujh meñ phir ik baar Than ga.ī
fitrat ne mere haath meñ phir chang de diyā
ai zindagī bas ab mire dāman ko chhoḌ de
jab tak banā ḳhushī se tirā sang de diyā
patthar hī thā vo jis pe maiñ bikhrā thā TuuT kar
logoñ ne us ko rutba-e-aurang de diyā
'hairat' jab apnā jaadū jagāne pe aa.e haiñ
jiine ko ham ne martaba-e-jang de diyā
nadaniyon ko ek naya rang de diya
danista main ne hath tah-e-sang de diya
mera KHayal tha ye koi nek kaam hai
main ne tumhaare dard ko aahang de diya
duniya mein aur mujh mein phir ek bar Than gai
fitrat ne mere hath mein phir chang de diya
ai zindagi bas ab mere daman ko chhoD de
jab tak bana KHushi se tera sang de diya
patthar hi tha wo jis pe main bikhra tha TuT kar
logon ne us ko rutba-e-aurang de diya
'hairat' jab apna jadu jagane pe aae hain
jine ko hum ne martaba-e-jang de diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.