nakaam walwalon ko liye bhagte rahe
nakaam walwalon ko liye bhagte rahe
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
nākām valvaloñ ko liye bhāgte rahe
ham sar pe daldaloñ ko liye bhāgte rahe
nādīda manziloñ kī taraf ham tamām umr
hājat ke qāfiloñ ko liye bhāgte rahe
vo ḳhauf thā ki dard kā ehsās hī na thā
talvoñ meñ ābloñ ko liye bhāgte rahe
fursat kahāñ thī dafn kareñ mayyatoñ ko ham
bas murda hausloñ ko liye bhāgte rahe
chhoḌā nahīñ unheñ unheñ hal bhī nahīñ kiyā
ham sirf mas.aloñ ko liye bhāgte rahe
pahle tamām shahroñ ko jañgal sifat kiyā
phir sar pe jañgaloñ ko liye bhāgte rahe
nakaam walwalon ko liye bhagte rahe
hum sar pe daldalon ko liye bhagte rahe
nadida manzilon ki taraf hum tamam umr
hajat ke qafilon ko liye bhagte rahe
wo KHauf tha ki dard ka ehsas hi na tha
talwon mein aablon ko liye bhagte rahe
fursat kahan thi dafn karen mayyaton ko hum
bas murda hauslon ko liye bhagte rahe
chhoDa nahin unhen unhen hal bhi nahin kiya
hum sirf masalon ko liye bhagte rahe
pahle tamam shahron ko jangal sifat kiya
phir sar pe jangalon ko liye bhagte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.