nakaami-e-hayat ka hasil koi nahin
nākāmī-e-hayāt kā hāsil koī nahīñ
hadd-e-nigāh lagtā hai manzil koī nahīñ
jis tarah merī kashtī-e-hasrat huī hai ġharq
us tarah Dūbtā lab-e-sāhil koī nahīñ
vahshat kī anjuman meñ huī tīrgī tamām
parchhā.iyoñ ke dard kā hāsil koī nahīñ
ai ḳhāliq-e-hayāt ai muḳhtār-e-bahr-o-bar
kyā mauj-e-iztirāb kā sāhil koī nahīñ
jab saikḌoñ subūt hoñ lāshoñ ke ird-gird
phir kaise ho yaqīn ki qātil koī nahīñ
bai'at maiñ kis ke haath pe 'resham' karūñ batā
bazm-e-suḳhan meñ murshid-e-kāmil koī nahīñ
nakaami-e-hayat ka hasil koi nahin
hadd-e-nigah lagta hai manzil koi nahin
jis tarah meri kashti-e-hasrat hui hai gharq
us tarah Dubta lab-e-sahil koi nahin
wahshat ki anjuman mein hui tirgi tamam
parchhaiyon ke dard ka hasil koi nahin
ai KHaliq-e-hayat ai muKHtar-e-bahr-o-bar
kya mauj-e-iztirab ka sahil koi nahin
jab saikDon subut hon lashon ke ird-gird
phir kaise ho yaqin ki qatil koi nahin
bai'at main kis ke hath pe 'resham' karun bata
bazm-e-suKHan mein murshid-e-kaamil koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.