nākāmiyoñ pe sar-ba-garebāñ nahīñ huuñ maiñ
jo uTh ke baiTh jaa.e vo tūfāñ nahīñ huuñ maiñ
kyā ḳhāk-e-dil kī aag jo sho'la na de sake
jazbāt-e-mushta.il se pashemāñ nahīñ huuñ maiñ
ho mujh se aadmī kī ḳhushāmad ḳhudā kī shaan
jis kā ho ye shi'ār vo insāñ nahīñ huuñ maiñ
merī shaguftagī kā bhī aa.egā ek vaqt
mahke na jo kabhī vo gulistāñ nahīñ huuñ maiñ
kaT kaT ke gir rahā hai 'munavvar' jigar mirā
bazm-e-suḳhan meñ aaj ġhazal-ḳhvāñ nahīñ huuñ maiñ
nakaamiyon pe sar-ba-gareban nahin hun main
jo uTh ke baiTh jae wo tufan nahin hun main
kya KHak-e-dil ki aag jo sho'la na de sake
jazbaat-e-mushtail se pasheman nahin hun main
ho mujh se aadmi ki KHushamad KHuda ki shan
jis ka ho ye shi'ar wo insan nahin hun main
meri shaguftagi ka bhi aaega ek waqt
mahke na jo kabhi wo gulistan nahin hun main
kaT kaT ke gir raha hai 'munawwar' jigar mera
bazm-e-suKHan mein aaj ghazal-KHwan nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.