naKHuda ki mushkilen aasan kar jata hun main
naKHuda ki mushkilen aasan kar jata hun main
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
nāḳhudā kī mushkileñ āsān kar jaatā huuñ maiñ
apnī kashtī aap jab tūfāñ se Takrātā huuñ maiñ
un kā har ik qaul aksar be-amal paatā huuñ maiñ
nāsehoñ kī baat ko ḳhātir meñ kab laatā huuñ maiñ
kis qadar hai nā-rasā merā muqaddar dekhiye
ain manzil ke qarīb aa kar bhaTak jaatā huuñ maiñ
har balāe-e- nā-gahāñ merā muqaddar ban ga.ī
har balā se ḳhud ko ab mahfūz-tar paatā huuñ maiñ
jab mohabbat jaan thī īmān thī vo din ga.e
ab mohabbat ke tasavvur se bhī ghabrātā huuñ maiñ
be tire jo kuchh guzartī hai mire dil par na pūchh
zindagī ko maut ke nazdīk-tar paatā huuñ maiñ
maiñ tirī bātoñ meñ aa kar be-sar-o-sāmāñ huā
ab magar ai dil tirī bātoñ meñ kab aatā huuñ maiñ
muddateñ guzrīñ ki dil ne kī thī un kī aarzū
aaj tak dasht-e-talab meñ Thokareñ khātā huuñ maiñ
zindagī meñ rang-o-bū ne kis qadar dhoke diye
is pe bhī aasī fareb-e-rañg-o-bū khātā huuñ maiñ
naKHuda ki mushkilen aasan kar jata hun main
apni kashti aap jab tufan se Takraata hun main
un ka har ek qaul aksar be-amal pata hun main
nasehon ki baat ko KHatir mein kab lata hun main
kis qadar hai na-rasa mera muqaddar dekhiye
ain manzil ke qarib aa kar bhaTak jata hun main
har balae-e- na-gahan mera muqaddar ban gai
har bala se KHud ko ab mahfuz-tar pata hun main
jab mohabbat jaan thi iman thi wo din gae
ab mohabbat ke tasawwur se bhi ghabraata hun main
be tere jo kuchh guzarti hai mere dil par na puchh
zindagi ko maut ke nazdik-tar pata hun main
main teri baaton mein aa kar be-sar-o-saman hua
ab magar ai dil teri baaton mein kab aata hun main
muddaten guzrin ki dil ne ki thi un ki aarzu
aaj tak dasht-e-talab mein Thokaren khata hun main
zindagi mein rang-o-bu ne kis qadar dhoke diye
is pe bhi aasi fareb-e-rang-o-bu khata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.