nala-bar-lab haram se nikalna paDa
nāla-bar-lab haram se nikalnā paḌā
ik duā maañg kar haath malnā paḌā
rahguzar meñ na thā āshnā koī shaḳhs
phir bhī har shaḳhs ke saath chalnā paḌā
kaisī shabnam kahāñ ke nasīm-o-sahāb
apne sho.ale meñ har gul ko jalnā paḌā
ādatan ḳhizar ke saath duniyā chalī
fitratan ham ko aage nikalnā paḌā
chalte chalte jahāñ 'shor' ham ruk ga.e
apnā ruḳh hādsoñ ko badalnā paḌā
nala-bar-lab haram se nikalna paDa
ek dua mang kar hath malna paDa
rahguzar mein na tha aashna koi shaKHs
phir bhi har shaKHs ke sath chalna paDa
kaisi shabnam kahan ke nasim-o-sahab
apne shoale mein har gul ko jalna paDa
aadatan KHizar ke sath duniya chali
fitratan hum ko aage nikalna paDa
chalte chalte jahan 'shor' hum ruk gae
apna ruKH hadson ko badalna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.