nāla-e-āzurdagāñ huuñ mahshar-e-fariyād huuñ
log jis ko sun nahīñ sakte maiñ vo uftād huuñ
jism kahtā hai mujhe zanjīr kā halqa samajh
ruuh kahtī hai ki maiñ āzād huuñ āzād huuñ
is giraftārī kī muddat dekhiye kab ḳhatm ho
aap hī qaidī huuñ maiñ aur aap hī sayyād huuñ
raunaqeñ pāmāl merī sard hangāme mire
shahr meñ bhī huuñ magar vīrān huuñ barbād huuñ
chand rishte haiñ jo mujh se aaj tak vābasta haiñ
aa.ine bhūle hue haiñ pattharoñ ko yaad huuñ
gardish-e-ayyām kī āñkhoñ kā taara huuñ sharīf
taḳhta-e-mashq-e-sitam huuñ hāsil-e-bedād huuñ
ai 'sharīf' apnī ḳhushī bhī us ke ġham kī den hai
jo mujhe ġham de ke ḳhush hai us ke ġham meñ shaad huuñ
nala-e-azurdagan hun mahshar-e-fariyaad hun
log jis ko sun nahin sakte main wo uftad hun
jism kahta hai mujhe zanjir ka halqa samajh
ruh kahti hai ki main aazad hun aazad hun
is giraftari ki muddat dekhiye kab KHatm ho
aap hi qaidi hun main aur aap hi sayyaad hun
raunaqen pamal meri sard hangame mere
shahr mein bhi hun magar viran hun barbaad hun
chand rishte hain jo mujh se aaj tak wabasta hain
aaine bhule hue hain pattharon ko yaad hun
gardish-e-ayyam ki aankhon ka tara hun sharif
taKHta-e-mashq-e-sitam hun hasil-e-bedad hun
ai 'sharif' apni KHushi bhi us ke gham ki den hai
jo mujhe gham de ke KHush hai us ke gham mein shad hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.