nala-e-dil arsh ki zanjir khinch
nāla-e-dil arsh kī zanjīr khīñch
jazb-e-pinhāñ gesū-e-tāsīr khīñch
dam khiñchā qātil kahīñ shamshīr khīñch
tū ne kī bismil se be-taqsīr khīñch
zaḳhm-e-pinhāñ jazb-e-pinhāñ ho gayā
tan ke ḳhanjar khīñch khiñch kar tiir khīñch
qulqul-e-mīnā hū haq haq sāqiyā
khīñchnī hai to vo pur-tāsīr khīñch
dair ke dar par miTā naqsh-e-jabīñ
ḳhatt-e-dīgar kātib-e-taqdīr khīñch
lā musavvir koī bijlī kā qalam
chulbulī sī shoḳh sī tasvīr khīñch
yā kalā.ī se ulaT de āstīñ
myaan se saffāk yā shamshīr khīñch
haath meñ shāna hai aage aa.ina
apnī tasvīr ai but-e-be-pīr khīñch
zeb-e-peshānī rahe tasvīr-e-yār
kilk-e-mānī yuuñ ḳhat-e-taqdīr khīñch
ai musavvir huuñ shahīd-e-teġh-e-nāz
ḳhūn-e-bismil se mirī tasvīr khīñch
ashk-e-ḳhūñ sharm-e-gunāhāñ se nikāl
dīda-e-tar roġhan-e-iksīr khīñch
ai but-e-saffāk bismillāh kar
shakl-e-ḳhanjar nāra-e-takbīr khīñch
ishq-e-qāmat rutba-e-mansūr de
mujh ko suulī par pa-e-ta.azīr khīñch
muñh dikhā kar chal diyā vo rashk-e-hūr
'rāsiḳh' ab aaheñ dam-e-taqrīr khīñch
nala-e-dil arsh ki zanjir khinch
jazb-e-pinhan gesu-e-tasir khinch
dam khincha qatil kahin shamshir khinch
tu ne ki bismil se be-taqsir khinch
zaKHm-e-pinhan jazb-e-pinhan ho gaya
tan ke KHanjar khinch khinch kar tir khinch
qulqul-e-mina hu haq haq saqiya
khinchni hai to wo pur-tasir khinch
dair ke dar par miTa naqsh-e-jabin
KHatt-e-digar katib-e-taqdir khinch
la musawwir koi bijli ka qalam
chulbuli si shoKH si taswir khinch
ya kalai se ulaT de aastin
myan se saffak ya shamshir khinch
hath mein shana hai aage aaina
apni taswir ai but-e-be-pir khinch
zeb-e-peshani rahe taswir-e-yar
kilk-e-mani yun KHat-e-taqdir khinch
ai musawwir hun shahid-e-tegh-e-naz
KHun-e-bismil se meri taswir khinch
ashk-e-KHun sharm-e-gunahan se nikal
dida-e-tar roghan-e-iksir khinch
ai but-e-saffak bismillah kar
shakl-e-KHanjar nara-e-takbir khinch
ishq-e-qamat rutba-e-mansur de
mujh ko suli par pa-e-tazir khinch
munh dikha kar chal diya wo rashk-e-hur
'rasiKH' ab aahen dam-e-taqrir khinch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.