nala-e-dil kamal ka nikla
nāla-e-dil kamāl kā niklā
un se pahlū visāl kā niklā
dil kī chorī kī faal kholī thī
naam us mah-jamāl kā niklā
de ga.e vo javāb saaf mujhe
ye natīja savāl kā niklā
vo ḳhafā the yūñhī ki ai qāsid
kuchh sabab bhī malāl kā niklā
dil liyā terā ai 'nasīm' us ne
gāhak achchhe hī maal kā niklā
nala-e-dil kamal ka nikla
un se pahlu visal ka nikla
dil ki chori ki fal kholi thi
nam us mah-jamal ka nikla
de gae wo jawab saf mujhe
ye natija sawal ka nikla
wo KHafa the yunhi ki ai qasid
kuchh sabab bhi malal ka nikla
dil liya tera ai 'nasim' us ne
gahak achchhe hi mal ka nikla
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 149)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.