nala-e-dil ki to kotahi nahin
nāla-e-dil kī to kotāhī nahīñ
par asar kuchh us ko hotā hī nahīñ
kitnā vo qātil hai be-ḳhauf-o-ḳhatar
teġh-e-ḳhūñ-ālūda dhotā hī nahīñ
us galī meñ jis tarah rotā huuñ maiñ
us tarah to koī rotā hī nahīñ
ḳhār-zār-e-ishq ko kyā ho gayā
paañv meñ kāñTe chubhotā hī nahīñ
tark kī lazzat se vāqif kaun haiñ
gar na hotā jaan khotā hī nahīñ
jāntā gar dil hai mazra yaas kā
tuḳhm-e-ummīd is meñ botā hī nahīñ
joñ suḳhan aatā hai silk-e-nazm meñ
yuuñ koī motī pirotā hī nahīñ
ḳhvāb meñ 'joshish' vo aa.e kis tarah
āshiq-e-be-tāb sotā hī nahīñ
nala-e-dil ki to kotahi nahin
par asar kuchh us ko hota hi nahin
kitna wo qatil hai be-KHauf-o-KHatar
tegh-e-KHun-aluda dhota hi nahin
us gali mein jis tarah rota hun main
us tarah to koi rota hi nahin
KHar-zar-e-ishq ko kya ho gaya
panw mein kanTe chubhota hi nahin
tark ki lazzat se waqif kaun hain
gar na hota jaan khota hi nahin
jaanta gar dil hai mazra yas ka
tuKHm-e-ummid is mein bota hi nahin
jon suKHan aata hai silk-e-nazm mein
yun koi moti pirota hi nahin
KHwab mein 'joshish' wo aae kis tarah
aashiq-e-be-tab sota hi nahin
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.