nala-e-gham shoala-asar chahiye
nāla-e-ġham sho.ala-asar chāhiye
chāk-e-dil ab tā-ba-jigar chāhiye
kitne mah-o-najm hue nazr-e-shab
ai ġham-e-dil ab to sahar chāhiye
manzileñ haiñ zer-e-kaf-e-pā magar
ik zarā azm-e-safar chāhiye
ā.ina-ḳhāne meñ hai darkār kyā
chāhiye ik sañg agar chāhiye
duur hai dil manzil-e-ġham se hanūz
ik ġhalat andāz-e-nazar chāhiye
tishnagi-e-lab kā taqāzā hai ab
baada ho yā zahr magar chāhiye
nala-e-gham shoala-asar chahiye
chaak-e-dil ab ta-ba-jigar chahiye
kitne mah-o-najm hue nazr-e-shab
ai gham-e-dil ab to sahar chahiye
manzilen hain zer-e-kaf-e-pa magar
ek zara azm-e-safar chahiye
aaina-KHane mein hai darkar kya
chahiye ek sang agar chahiye
dur hai dil manzil-e-gham se hanuz
ek ghalat andaz-e-nazar chahiye
tishnagi-e-lab ka taqaza hai ab
baada ho ya zahr magar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.