nala-e-shabana bhi aah-e-subh-gahi bhi
nala-e-shabana bhi aah-e-subh-gahi bhi
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
nāla-e-shabāna bhī āh-e-sub.h-gāhī bhī
kyā hayāt-sāmāñ hai ġham kī be-panāhī bhī
ham junūñ-shi.āroñ meñ aate aate aatī hai
shān-e-be-niyāzī bhī ān-e-kaj-kulāhī bhī
ishq ne atā kar ke jazb-o-shauq-e-be-pāyāñ
musht-e-ḳhāk ko baḳhshī āsmāñ-panāhī bhī
jalva-e-bahārāñ meñ rang bhar ga.ī āḳhir
kitnī kaam kī niklī apnī ḳhush-nigāhī bhī
dil kī ḳhasta-hālī phir dil kī ḳhasta-hālī hai
ishq meñ gavārā hai jaan kī tabāhī bhī
koī aise qātil ko kis tarah kahe qātil
jis kī aañkh se jhalke rang-e-ḳhair-ḳhvāhī bhī
hashr-e-kārvāñ kyā ho kuchh kahā nahīñ jaatā
nā-shanās-e-manzil haiñ rahnumā bhī raahī bhī
azm-e-be-nihāyat kī āb-o-tāb se 'manshā'
duur ho ke rahtī hai baḳht kī siyāhī bhī
nala-e-shabana bhi aah-e-subh-gahi bhi
kya hayat-saman hai gham ki be-panahi bhi
hum junun-shiaron mein aate aate aati hai
shan-e-be-niyazi bhi aan-e-kaj-kulahi bhi
ishq ne ata kar ke jazb-o-shauq-e-be-payan
musht-e-KHak ko baKHshi aasman-panahi bhi
jalwa-e-bahaaran mein rang bhar gai aaKHir
kitni kaam ki nikli apni KHush-nigahi bhi
dil ki KHasta-haali phir dil ki KHasta-haali hai
ishq mein gawara hai jaan ki tabahi bhi
koi aise qatil ko kis tarah kahe qatil
jis ki aankh se jhalke rang-e-KHair-KHwahi bhi
hashr-e-karwan kya ho kuchh kaha nahin jata
na-shanas-e-manzil hain rahnuma bhi rahi bhi
azm-e-be-nihayat ki aab-o-tab se 'mansha'
dur ho ke rahti hai baKHt ki siyahi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.