nala karna ki aah karna
naala karnā ki aah karnā
dil meñ 'asar' us ke raah karnā
kuchh ḳhuub nahīñ ye terī bāteñ
har-chand mujhe nibāh karnā
terā vo jaur ye mirā sabr
insāf se Tuk nigāh karnā
kyā lutf hai le ke dil mukarnā
aur ulTe mujhe gavāh karnā
rahmat ke huzūr be-gunāhī
mat shaiḳh ko rū-siyāh karnā
jī ab ke bachā ḳhudā ḳhudā kar
phir aur butoñ kī chaah karnā
kyā kahiye 'asar' to aap Tuk dekh
yuuñ haal apnā tabāh karnā
nala karna ki aah karna
dil mein 'asar' us ke rah karna
kuchh KHub nahin ye teri baaten
har-chand mujhe nibah karna
tera wo jaur ye mera sabr
insaf se Tuk nigah karna
kya lutf hai le ke dil mukarna
aur ulTe mujhe gawah karna
rahmat ke huzur be-gunahi
mat shaiKH ko ru-siyah karna
ji ab ke bacha KHuda KHuda kar
phir aur buton ki chah karna
kya kahiye 'asar' to aap Tuk dekh
yun haal apna tabah karna
- Deewan-e-asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.