nalan nahin kuchh tere sitam par
nālāñ nahīñ kuchh tire sitam par
aisī hī banī hai apne dam par
har daaġh par ek zaḳhm aayā
qātil kā ye sikka hai diram par
lo ahl-e-jahāñ naved-e-farhat
maa.il hai dil apnā aḳhz-e-ġham par
kaisī hī sadā muhīb aa jaa.e
naale kā gumāñ kareñ vo ham par
'sālik' se liyā hai tum ne dil muft
yaañ aur bhī bechte haiñ kam par
nalan nahin kuchh tere sitam par
aisi hi bani hai apne dam par
har dagh par ek zaKHm aaya
qatil ka ye sikka hai diram par
lo ahl-e-jahan nawed-e-farhat
mail hai dil apna aKHz-e-gham par
kaisi hi sada muhib aa jae
nale ka guman karen wo hum par
'salik' se liya hai tum ne dil muft
yan aur bhi bechte hain kam par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.