nam dekho miyan sani mein kisi aur ka hai
naam dekho miyāñ saanī meñ kisī aur kā hai
ye jo misra’ hai ravānī meñ kisī aur kā hai
ham pe ye raaz khulā bhī to bahut der ke baa'd
asl kirdār kahānī meñ kisī aur kā hai
jis ko sīñchā thā lahū apnā pilā kar ham ne
ab vahī peḌ javānī meñ kisī aur kā hai
aaj kī raat abhī chāñd to niklā hī nahīñ
ruup ye raat kī raanī meñ kisī aur kā hai
nam dekho miyan sani mein kisi aur ka hai
ye jo misra’ hai rawani mein kisi aur ka hai
hum pe ye raaz khula bhi to bahut der ke ba'd
asl kirdar kahani mein kisi aur ka hai
jis ko sincha tha lahu apna pila kar hum ne
ab wahi peD jawani mein kisi aur ka hai
aaj ki raat abhi chand to nikla hi nahin
rup ye raat ki rani mein kisi aur ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.