nam hi rah gaya ek anjuman-arai ka
naam hī rah gayā ik anjuman-ārā.ī kā
chhup gayā chāñd bhī ab to shab-e-tanhā.ī kā
dil se jaatī nahīñ Thahre hue qadmoñ kī sadā
aañkh ne svāñg rachā rakkhā hai bīnā.ī kā
ek ik yaad ko aahoñ se jalātā jā.ūñ
kaam sauñpā hai ajab us ne masīhā.ī kā
ab na vo lams nigāhoñ kā na ḳhushbū kī sadā
dil ne dekhā thā magar ḳhvāb shanāsā.ī kā
sā.at-e-dard farozāñ hai bahā leñ aañsū
TūTne ko hai kaḌā vaqt shakebā.ī kā
nam hi rah gaya ek anjuman-arai ka
chhup gaya chand bhi ab to shab-e-tanhai ka
dil se jati nahin Thahre hue qadmon ki sada
aankh ne swang racha rakkha hai binai ka
ek ek yaad ko aahon se jalata jaun
kaam saunpa hai ajab us ne masihai ka
ab na wo lams nigahon ka na KHushbu ki sada
dil ne dekha tha magar KHwab shanasai ka
saat-e-dard farozan hai baha len aansu
TuTne ko hai kaDa waqt shakebai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.