nam itna bhi kisi ka na uchhaala jae
naam itnā bhī kisī kā na uchhālā jaa.e
ranj-o-ġham bhī jo sañbhāle na sañbhālā jaa.e
chāhtā huuñ ki mire aag meñ jalte ghar kā
mere dushman ke sahan tak bhī ujālā jaa.e
dekh kar ham ko guzarte haiñ vo aise jaise
raah par pasre faqīroñ ko jo Taalā jaa.e
terī duniyā se na lenā hai na denā kuchh bhī
terī duniyā meñ tirā chāhne vaalā jaa.e
sochtā huuñ ki use bhuul hī jā.ūñ āḳhir
kaise batlā.ūñ mujhe dard ko paalā jaa.e
nam itna bhi kisi ka na uchhaala jae
ranj-o-gham bhi jo sanbhaale na sanbhaala jae
chahta hun ki mere aag mein jalte ghar ka
mere dushman ke sahan tak bhi ujala jae
dekh kar hum ko guzarte hain wo aise jaise
rah par pasre faqiron ko jo Tala jae
teri duniya se na lena hai na dena kuchh bhi
teri duniya mein tera chahne wala jae
sochta hun ki use bhul hi jaun aaKHir
kaise batlaun mujhe dard ko pala jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.