nam jaane ka na lo qalb ke kashane se
nam jaane ka na lo qalb ke kashane se
Aashiq Husain Bazm Afandi
MORE BYAashiq Husain Bazm Afandi
naam jaane kā na lo qalb ke kāshāne se
maiñ to luT jā.ūñgā is ghar ke ujaḌ jaane se
ġhaiz hai bazm ke andar jo chale aane se
kuchh maiñ bāhar bhī nahīñ aap ke farmāne se
saaf zāhir hai ye qulqul kī sadā aane se
guftugū hotī hai kuchh shīsha-o-paimāne se
sham.a-rū tak vahī le jā.egā naama merā
haañ agar kaam ye niklegā to parvāne se
sab ye thī ḳhāl-e-ruḳh-e-yār kī kāristānī
murġh-e-dil phāñs liyā zulf ne is daane se
tark-e-mai ke liye zāhid tū mirā maġhz na khā
aur zid hotī hai insān ko samjhāne se
ġhair se tum ko ta'alluq nahīñ kuchh ye sach hai
shak magar baḌhtā hai har baar qasam khāne se
ishva-o-ġhamza-o-andāz hī jab khiñch na sake
mudda.ā yaar kī tasvīr ke khiñchvāne se
ḳhvāb-e-marg aañkh meñ aate hī ga.ī bechainī
jī gayā teġh ke dāman kī havā khāne se
kis ke ghar jaane ko tayyār vo hote haiñ ki aaj
un ko fursat hī nahīñ ā.īna-o-shāne se
kisht-e-vahshat pe jo vo āb-e-karam barsā.e
shāḳheñ niklīñ abhī zanjīr ke har daane se
qudratī husn kā ḳhāka kahīñ uḌ saktā hai
kyoñ kashīda haiñ vo tasvīr ke khiñchvāne se
'bazm' vaañ dil ke bahalne kī koī shakl nahīñ
jaa.eñ ka.abe ko kis ummīd pe but-ḳhāne se
nam jaane ka na lo qalb ke kashane se
main to luT jaunga is ghar ke ujaD jaane se
ghaiz hai bazm ke andar jo chale aane se
kuchh main bahar bhi nahin aap ke farmane se
saf zahir hai ye qulqul ki sada aane se
guftugu hoti hai kuchh shisha-o-paimane se
shama-ru tak wahi le jaega nama mera
han agar kaam ye niklega to parwane se
sab ye thi KHal-e-ruKH-e-yar ki karistani
murgh-e-dil phans liya zulf ne is dane se
tark-e-mai ke liye zahid tu mera maghz na kha
aur zid hoti hai insan ko samjhane se
ghair se tum ko ta'alluq nahin kuchh ye sach hai
shak magar baDhta hai har bar qasam khane se
ishwa-o-ghamza-o-andaz hi jab khinch na sake
muddaa yar ki taswir ke khinchwane se
KHwab-e-marg aankh mein aate hi gai bechaini
ji gaya tegh ke daman ki hawa khane se
kis ke ghar jaane ko tayyar wo hote hain ki aaj
un ko fursat hi nahin aaina-o-shane se
kisht-e-wahshat pe jo wo aab-e-karam barsae
shaKHen niklin abhi zanjir ke har dane se
qudrati husn ka KHaka kahin uD sakta hai
kyon kashida hain wo taswir ke khinchwane se
'bazm' wan dil ke bahalne ki koi shakl nahin
jaen kabe ko kis ummid pe but-KHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.