nam jis shai ka zindagani hai
naam jis shai kā zindagānī hai
kuchh haqīqat hai kuchh kahānī hai
aap dīvāna kah rahe haiñ mujhe
aap hī kī to mehrbānī hai
kal mujhe dekh kar jo hañste the
un kī āñkhoñ meñ aaj paanī hai
saarī duniyā hasīn lagtī hai
haa.e kyā chiiz naujavānī hai
ham ba-zid haiñ ki un ko dekheñge
un ke hoñToñ pe lan-tarānī hai
yuuñ nadī meñ jo tum nahāte ho
aag paanī meñ kyā lagānī hai
un kī zulfeñ haiñ mere shānoñ par
aaj kī shaam kyā suhānī hai
zaḳhm ke phuul dard kī shāḳheñ
kyā vafā kī yahī nishānī hai
ye aqīda hai ai 'zafar' merā
shā.erī dil kī tarjumānī hai
nam jis shai ka zindagani hai
kuchh haqiqat hai kuchh kahani hai
aap diwana kah rahe hain mujhe
aap hi ki to mehrbani hai
kal mujhe dekh kar jo hanste the
un ki aankhon mein aaj pani hai
sari duniya hasin lagti hai
hae kya chiz naujawani hai
hum ba-zid hain ki un ko dekhenge
un ke honTon pe lan-tarani hai
yun nadi mein jo tum nahate ho
aag pani mein kya lagani hai
un ki zulfen hain mere shanon par
aaj ki sham kya suhani hai
zaKHm ke phul dard ki shaKHen
kya wafa ki yahi nishani hai
ye aqida hai ai 'zafar' mera
shaeri dil ki tarjumani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.