nam ki apne mala japne do
naam kī apne maalā japne do
ban ke jogī kahīñ pe khapne do
manzar-e-ām se zarā pahle
manzar-e-ḳhās tak pahuñchne do
Thiik hai chhoḌ kar chale jaanā
par mirā ishq to panapne do
ho rifāqat binā mohabbat ho
chaar āñkheñ huiiñ haiñ sapne do
dil mire ser kyoñ nahīñ hotā
oh ho aañkh to jhapakne do
ḳhud hī ik din banūñgā maiñ gulzār
ishq kī aag hai bhaḌakne do
nam ki apne mala japne do
ban ke jogi kahin pe khapne do
manzar-e-am se zara pahle
manzar-e-KHas tak pahunchne do
Thik hai chhoD kar chale jaana
par mera ishq to panapne do
ho rifaqat bina mohabbat ho
chaar aankhen huin hain sapne do
dil mere ser kyon nahin hota
oh ho aankh to jhapakne do
KHud hi ek din banunga main gulzar
ishq ki aag hai bhaDakne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.