nam rakkha hai fusun-gar ne suKHan-saz mera
naam rakkhā hai fusūñ-gar ne suḳhan-sāz mirā
ghoñTe detī hai galā ab mirī āvāz mirā
rah gayā raaz kisī tarah agar raaz mirā
be-niyāzī bhī uThā.egī tirī naaz mirā
aaj hai maut bhī vo ishq jo kal tak thā hayāt
muḳhtalif kitnā hai anjām se āġhāz mirā
be-piye mast huā pī ke maiñ bahkā na kabhī
vo thī saaqī kī karāmat pa hai e.ajāz mirā
nāvak-e-nāz se uḌte haiñ nishāne dil ke
aur parde meñ abhī hai qadar-andāz mirā
dhaḌkaneñ ab bhī haiñ vaisī hī shikasta dil kī
be-sadā ho na sakā TuuT ke bhī saaz mirā
uzr be-bāl-o-parī thā jo qafas toḌ chukā
dekh ke rah ga.ī muñh hasrat-e-parvāz mirā
roz ik taaza balā aatī hai dil ke hāthoñ
'jurm' āmāda hai dam lene pe dam-sāz mirā
nam rakkha hai fusun-gar ne suKHan-saz mera
ghonTe deti hai gala ab meri aawaz mera
rah gaya raaz kisi tarah agar raaz mera
be-niyazi bhi uThaegi teri naz mera
aaj hai maut bhi wo ishq jo kal tak tha hayat
muKHtalif kitna hai anjam se aaghaz mera
be-piye mast hua pi ke main bahka na kabhi
wo thi saqi ki karamat pa hai eajaz mera
nawak-e-naz se uDte hain nishane dil ke
aur parde mein abhi hai qadar-andaz mera
dhaDkanen ab bhi hain waisi hi shikasta dil ki
be-sada ho na saka TuT ke bhi saz mera
uzr be-baal-o-pari tha jo qafas toD chuka
dekh ke rah gai munh hasrat-e-parwaz mera
roz ek taza bala aati hai dil ke hathon
'jurm' aamada hai dam lene pe dam-saz mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.