nam wale hain na ye zaKHm nishan wale hain
naam vaale haiñ na ye zaḳhm nishāñ vaale haiñ
ham nibāheñge ki ham log zabāñ vaale haiñ
ab jo ghar in pe girā hai to khule haiñ varna
ye makīñ lagtā nahīñ thā ki makāñ vaale haiñ
Thiik guzre nahīñ bāzār se shāyad ham log
ye jo chhīñTe haiñ ye sab sūd-o-ziyāñ vaale haiñ
itnī āsānī pareshān bhī kar saktī hai
ham yaqīñ vaale haiñ sāhab na gumāñ vaale haiñ
ham agar ruk ga.e duniyā to kahāñ sañbhleñge
hameñ jaane de ki ham bār-e-garāñ vaale haiñ
vo zamāna-badarī hijr meñ dekhī hai ki bas
ham samajhte the ki ham kaun-o-makāñ vaale haiñ
dekhne vaale hamāre bhī koī ḳhush to nahīñ
ham vo jhoñke haiñ jo ḳhāk-e-guzarāñ vaale haiñ
nam wale hain na ye zaKHm nishan wale hain
hum nibahenge ki hum log zaban wale hain
ab jo ghar in pe gira hai to khule hain warna
ye makin lagta nahin tha ki makan wale hain
Thik guzre nahin bazar se shayad hum log
ye jo chhinTe hain ye sab sud-o-ziyan wale hain
itni aasani pareshan bhi kar sakti hai
hum yaqin wale hain sahab na guman wale hain
hum agar ruk gae duniya to kahan sanbhlenge
hamein jaane de ki hum bar-e-garan wale hain
wo zamana-badari hijr mein dekhi hai ki bas
hum samajhte the ki hum kaun-o-makan wale hain
dekhne wale hamare bhi koi KHush to nahin
hum wo jhonke hain jo KHak-e-guzaran wale hain
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 89)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.