nama dildar tak nahin pahuncha
naama dildār tak nahīñ pahuñchā
hāl-e-dil yaar tak nahīñ pahuñchā
vo bhī me.aar tak nahīñ pahuñchā
sach abhī daar tak nahīñ pahuñchā
phuul kā rang ḳhuub thā lekin
tire ruḳhsār tak nahīñ pahuñchā
us ko taklīf kī ḳhabar kyā ho
paañv jo ḳhaar tak nahīñ pahuñchā
ḳhair guzrī ki aaj qātil kā
haath talvār tak nahīñ pahuñchā
kab mirā kārvāñ zamāne meñ
rāh-e-dushvār tak nahīñ pahuñchā
fikr thī sab ko apne chehroñ kī
koī kirdār tak nahīñ pahuñchā
terī rahmat se be-ḳhabar hī rahā
jo gunah-gār tak nahīñ pahuñchā
dil-e-betāb terā afsāna
nigah-e-yār tak nahīñ pahuñchā
zer-e-dīvār maiñ jahāñ baiThā
saaya dīvār tak nahīñ pahuñchā
nama dildar tak nahin pahuncha
haal-e-dil yar tak nahin pahuncha
wo bhi mear tak nahin pahuncha
sach abhi dar tak nahin pahuncha
phul ka rang KHub tha lekin
tere ruKHsar tak nahin pahuncha
us ko taklif ki KHabar kya ho
panw jo KHar tak nahin pahuncha
KHair guzri ki aaj qatil ka
hath talwar tak nahin pahuncha
kab mera karwan zamane mein
rah-e-dushwar tak nahin pahuncha
fikr thi sab ko apne chehron ki
koi kirdar tak nahin pahuncha
teri rahmat se be-KHabar hi raha
jo gunah-gar tak nahin pahuncha
dil-e-betab tera afsana
nigah-e-yar tak nahin pahuncha
zer-e-diwar main jahan baiTha
saya diwar tak nahin pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.