nama-e-gul mein kisi shoKH ki tahrir ka rang
nāma-e-gul meñ kisī shoḳh kī tahrīr kā rañg
dil-e-pur-ḳhūñ kī ubhartī huī tasvīr kā rañg
vo tahī-māya pashemān-e-vafā haiñ ham log
apnī taqrīr meñ jaadū hai na tahrīr kā rañg
sabz-dar-sabz daraḳhtoñ meñ chalā aag kā phaag
ujlā ujlā hai mire ḳhvāb kī ta.abīr kā rañg
qatl honā hai sar-e-shām-e-tamannā har roz
roz laanā hai na.ī sub.h kī tanvīr kā rañg
rañg detā hai kahīñ ā.ina-e-nām-o-numūd
ḳhuub khiltā hai kahīñ jauhar-e-tauqīr kā rañg
nama-e-gul mein kisi shoKH ki tahrir ka rang
dil-e-pur-KHun ki ubharti hui taswir ka rang
wo tahi-maya pasheman-e-wafa hain hum log
apni taqrir mein jadu hai na tahrir ka rang
sabz-dar-sabz daraKHton mein chala aag ka phag
ujla ujla hai mere KHwab ki tabir ka rang
qatl hona hai sar-e-sham-e-tamanna har roz
roz lana hai nai subh ki tanwir ka rang
rang deta hai kahin aaina-e-nam-o-numud
KHub khilta hai kahin jauhar-e-tauqir ka rang
- Nama-e-Gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.