namus-e-wafa ka pas raha shikwa bhi zaban tak la na sake
namus-e-wafa ka pas raha shikwa bhi zaban tak la na sake
Parveen Fana Syed
MORE BYParveen Fana Syed
Interesting Fact
1953
nāmūs-e-vafā kā paas rahā shikva bhī zabāñ tak lā na sake
andar se to ro.e TuuT ke ham par ek bhī ashk bahā na sake
sāhil to nazar aayā lekin tūfāñ meñ balā kī shiddat thī
maujoñ ko manāyā laakh magar ham jānib sāhil aa na sake
ham kahte kahte haar ga.e aur duniyā ne kuchh bhī na sunā
jab duniyā ne isrār kiyā ham apnā dard sunā na sake
kab ham ne gulistāñ chāhā thā kab ham ne bahāreñ māñgīñ thiiñ
ik gul kī tamannā thī ham ko vo bhī to chaman meñ pā na sake
namus-e-wafa ka pas raha shikwa bhi zaban tak la na sake
andar se to roe TuT ke hum par ek bhi ashk baha na sake
sahil to nazar aaya lekin tufan mein bala ki shiddat thi
maujon ko manaya lakh magar hum jaanib sahil aa na sake
hum kahte kahte haar gae aur duniya ne kuchh bhi na suna
jab duniya ne israr kiya hum apna dard suna na sake
kab hum ne gulistan chaha tha kab hum ne bahaaren mangin thin
ek gul ki tamanna thi hum ko wo bhi to chaman mein pa na sake
- Book : Harf-e-wafa (Pg. 121)
- Author : Parveen Fana Sayyad
- Publication : Maktaba Funoon, Lahore (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.