narawa hai kisi ki hamrahi
nāravā hai kisī kī hamrāhī
raah meñ jā rahā huuñ tanhā hī
phir bhī kaisā nafīs dhokā hai
rañg-o-bū hai agarche dhokā hī
dil tirī yaad meñ taḌaptā hai
jaise be-āb ho koī maahī
faiz saaqī kā aam thā har-chand
ham ko rahnā magar thā pyāsā hī
aadmī to faqīr hī sā hai
ThaaT haiñ 'shād' ke magar shāhī
narawa hai kisi ki hamrahi
rah mein ja raha hun tanha hi
phir bhi kaisa nafis dhoka hai
rang-o-bu hai agarche dhoka hi
dil teri yaad mein taDapta hai
jaise be-ab ho koi mahi
faiz saqi ka aam tha har-chand
hum ko rahna magar tha pyasa hi
aadmi to faqir hi sa hai
ThaT hain 'shad' ke magar shahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.