nasazi-e-haalat ne dil toD diya hai
nāsāzī-e-hālāt ne dil toḌ diyā hai
duniyā kī har ik baat ne dil toḌ diyā hai
kuchh sāqi-e-mahfil bhī rahā rindoñ se barham
kuchh shiddat-e-āfāt ne dil toḌ diyā hai
āġhāz-e-mulāqāt meñ kyā josh thā dil meñ
anjām-e-mulāqāt ne dil toḌ diyā hai
behāl-o-pareshāñ hai bashar roz-e-azal se
farsūda rivāyāt ne dil toḌ diyā hai
apnoñ kī ināyāt kā ham zikr kareñ kyā
apnoñ kī ināyāt ne dil toḌ diyā hai
kal aap kī har baat se taskīn milī thī
aaj aap kī har baat ne dil toḌ diyā hai
ham tishna-dahan baiThe haiñ maiḳhāne maiñ 'āsī'
umḌī huī barsāt ne dil toḌ diyā hai
nasazi-e-haalat ne dil toD diya hai
duniya ki har ek baat ne dil toD diya hai
kuchh saqi-e-mahfil bhi raha rindon se barham
kuchh shiddat-e-afat ne dil toD diya hai
aaghaz-e-mulaqat mein kya josh tha dil mein
anjam-e-mulaqat ne dil toD diya hai
behaal-o-pareshan hai bashar roz-e-azal se
farsuda riwayat ne dil toD diya hai
apnon ki inayat ka hum zikr karen kya
apnon ki inayat ne dil toD diya hai
kal aap ki har baat se taskin mili thi
aaj aap ki har baat ne dil toD diya hai
hum tishna-dahan baiThe hain maiKHane main 'asi'
umDi hui barsat ne dil toD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.