naseha tu hi bata kya ye KHayal achchha hai
nāsehā tū hī batā kyā ye ḳhayāl achchhā hai
tā.ir-e-dil ke liye ishq kā jaal achchhā hai
dar-ba-dar the hī pe ab ishq ne pāgal bhī kiyā
nīm-jāñ phirte ho kahte ho ki haal achchhā hai
shāmil-e-fitrat-e-ādam hai azal se hī ḳhatā
sau ḳhatāoñ pe jo kartā hai malāl achchhā hai
maiñ ne pūchhā thā ki phir vasl mayassar hogā
us ne bas itnā kahā thā ki savāl achchhā hai
kaam aayā kisī mazdūr ke īñdhan ban kar
sang-e-nāyāb se raihān-e-ġhazāl achchhā hai
naseha tu hi bata kya ye KHayal achchha hai
tair-e-dil ke liye ishq ka jal achchha hai
dar-ba-dar the hi pe ab ishq ne pagal bhi kiya
nim-jaan phirte ho kahte ho ki haal achchha hai
shamil-e-fitrat-e-adam hai azal se hi KHata
sau KHataon pe jo karta hai malal achchha hai
main ne puchha tha ki phir wasl mayassar hoga
us ne bas itna kaha tha ki sawal achchha hai
kaam aaya kisi mazdur ke indhan ban kar
sang-e-nayab se raihan-e-ghazal achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.