naw jab wahshi samundar ki aman par chhoD di
naav jab vahshī samundar kī amaañ par chhoḌ dī
apnī qismat kī kahānī bādbāñ par chhoḌ dī
manziloñ ko dekhte hī be-muravvat shaḳhs ne
rāste kī gard puure kārvāñ par chhoḌ dī
be-makāñ hote hue ik maslahat-andesh ne
apne dil kī har tamannā lā-makāñ par chhoḌ dī
bādaloñ ko bijliyoñ se mastiyoñ meñ dekh kar
ik duā mahsūr kar ke āsmāñ par chhoḌ dī
luT gayā jab kārvāñ to 'nāz' phir sālār ne
qāfile kī rahbarī bhī sārbāñ par chhoḌ dī
naw jab wahshi samundar ki aman par chhoD di
apni qismat ki kahani baadban par chhoD di
manzilon ko dekhte hi be-murawwat shaKHs ne
raste ki gard pure karwan par chhoD di
be-makan hote hue ek maslahat-andesh ne
apne dil ki har tamanna la-makan par chhoD di
baadalon ko bijliyon se mastiyon mein dekh kar
ek dua mahsur kar ke aasman par chhoD di
luT gaya jab karwan to 'naz' phir salar ne
qafile ki rahbari bhi sarban par chhoD di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.