nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen
nāvak kaheñ sināñ kaheñ talvār kyā kaheñ
tū hī batā tujhe nigah-e-yār kyā kaheñ
shikva na daam kā hai na sayyād kā gila
ham aap ho ga.e haiñ giraftār kyā kaheñ
iz.hār-e-hāl-e-zār kā aisoñ se fā.eda
āzār dil kā tujh se dil-āzār kyā kaheñ
karte haiñ vaa.iz aap mazammat sharāb kī
kahte haiñ kyā janāb ko mai-ḳhvār kyā kaheñ
aisoñ se tark-e-mai kā 'mubārak' savāl kyā
tauba kī tujh se rind-e-qadah-ḳhvār kyā kaheñ
nawak kahen sinan kahen talwar kya kahen
tu hi bata tujhe nigah-e-yar kya kahen
shikwa na dam ka hai na sayyaad ka gila
hum aap ho gae hain giraftar kya kahen
izhaar-e-haal-e-zar ka aison se faeda
aazar dil ka tujh se dil-azar kya kahen
karte hain waiz aap mazammat sharab ki
kahte hain kya janab ko mai-KHwar kya kahen
aison se tark-e-mai ka 'mubarak' sawal kya
tauba ki tujh se rind-e-qadah-KHwar kya kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.