naz-e-but-e-mahwash par qurban dil-o-jaan hai
naz-e-but-e-mahwash par qurban dil-o-jaan hai
Ali Manzoor Hyderabadi
MORE BYAli Manzoor Hyderabadi
nāz-e-but-e-mahvash par qurbān dil-o-jāñ hai
ye shān-e-ḳhudā ḳhudā-e-shāhid-e-ġhārat-gar-e-īmāñ hai
jo baat bhī hai pyārī jo chaal bhī hai achchhī
aan us kī nahīñ maḳhfī shaan us kī numāyāñ hai
hamrāh chalūñ us ke kuchh baat karūñ us se
muddat se ye hasrat hai muddat se ye armāñ hai
vo mujh ko dikhāte haiñ har aan nayā jalva
mere liye har jalva sarmāya-e-ehsāñ hai
girdāb-e-havādis meñ ḳhush huuñ ki mirī kashtī
nā-dīda-e-sāhil hai parvarda-e-tūfāñ hai
hañstā huā aayā hai hañs hañs ke rulā.egā
vo ahd-shikan phir ab āmāda-e-paimāñ hai
'manzūr' use dil denā dil de ke ḳhalish lenā
ye bhī koī hasrat hai ye bhī koī armāñ hai
naz-e-but-e-mahwash par qurban dil-o-jaan hai
ye shan-e-KHuda KHuda-e-shahid-e-ghaarat-gar-e-iman hai
jo baat bhi hai pyari jo chaal bhi hai achchhi
aan us ki nahin maKHfi shan us ki numayan hai
hamrah chalun us ke kuchh baat karun us se
muddat se ye hasrat hai muddat se ye arman hai
wo mujh ko dikhate hain har aan naya jalwa
mere liye har jalwa sarmaya-e-ehsan hai
girdab-e-hawadis mein KHush hun ki meri kashti
na-dida-e-sahil hai parwarda-e-tufan hai
hansta hua aaya hai hans hans ke rulaega
wo ahd-shikan phir ab aamada-e-paiman hai
'manzur' use dil dena dil de ke KHalish lena
ye bhi koi hasrat hai ye bhi koi arman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.