naz farmae agar mera junun
naaz farmā.e agar merā junūñ
tum vahī karte raho jo maiñ kahūñ
zindagī kyā hai safar paiham safar
phir safar meñ kyā tamannā-e-sukūñ
‘aql-e-yazdāñ-gīr paiġhambar-shikār
'ishq kī fitrāk meñ said-e-zabūñ
mai baqaid-e-shīsha-o-sāġhar harām
aur jo un mast āñkhoñ se piyūñ
dost anqā haiñ to dushman hī sahī
koī to ho jis ko apnā kah sakūñ
tum hī tum hote ho mere sāmne
sochtā huuñ jab kabhī maiñ kaun huuñ
chāhtā huuñ maiñ unheñ lekin 'zahīn'
ye mujhe ḳhud bhī nahīñ mā'lūm kyuuñ
naz farmae agar mera junun
tum wahi karte raho jo main kahun
zindagi kya hai safar paiham safar
phir safar mein kya tamanna-e-sukun
‘aql-e-yazdan-gir paighambar-shikar
'ishq ki fitrak mein said-e-zabun
mai baqaid-e-shisha-o-saghar haram
aur jo un mast aankhon se piyun
dost anqa hain to dushman hi sahi
koi to ho jis ko apna kah sakun
tum hi tum hote ho mere samne
sochta hun jab kabhi main kaun hun
chahta hun main unhen lekin 'zahin'
ye mujhe KHud bhi nahin ma'lum kyun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.