naz hai mashq-e-jafa par us sitam-ijad ko
naaz hai mashq-e-jafā par us sitam-ījād ko
kab karegā shaad merī ḳhātir-e-nāshād ko
kis tarah kā samm-e-qātil hai ye sharbat ishq kā
jān-e-shīrīñ zahr āḳhir ho ga.ī farhād ko
rahm jab kartā nahīñ nāloñ se phir kyā fā.eda
dardmandī bulbul-e-nālāñ se kyā sayyād ko
kaise vo ḳhush-fahm haiñ patthar paḌe us fahm par
jo jahānābād samjhe is ḳharāb-ābād ko
ik ta'alluq se hazāroñ ranj hote haiñ nasīb
fikr karte kis ne dekhā hai kisī āzād ko
jānte haiñ juzv hai īmān kā hubb-e-vatan
be-tarah bhūle vatan haiñ kyā huā ustād ko
nāla-o-zārī meñ ai 'ājiz' tū kyoñ masrūf hai
kaun suntā hai are nādāñ tirī fariyād ko
naz hai mashq-e-jafa par us sitam-ijad ko
kab karega shad meri KHatir-e-nashad ko
kis tarah ka samm-e-qatil hai ye sharbat ishq ka
jaan-e-shirin zahr aaKHir ho gai farhad ko
rahm jab karta nahin nalon se phir kya faeda
dardmandi bulbul-e-nalan se kya sayyaad ko
kaise wo KHush-fahm hain patthar paDe us fahm par
jo jahanabaad samjhe is KHarab-abaad ko
ek ta'alluq se hazaron ranj hote hain nasib
fikr karte kis ne dekha hai kisi aazad ko
jaante hain juzw hai iman ka hubb-e-watan
be-tarah bhule watan hain kya hua ustad ko
nala-o-zari mein ai 'ajiz' tu kyon masruf hai
kaun sunta hai are nadan teri fariyaad ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.