naz hote na kahin husn ke ghamze hote
naz hote na kahin husn ke ghamze hote
Abdus Sattar Akhtar Ansari
MORE BYAbdus Sattar Akhtar Ansari
naaz hote na kahīñ husn ke ġhamze hote
ham na hote to kahāñ pyaar ke charche hote
aaj nazroñ meñ tirī ham jo zamāne hote
kal fazāoñ meñ bikharte hue naġhme hote
saa.e zulfoñ ke agar aap ke mahke hote
phuul kāñdhoñ pe liye apne janāze hote
ham jo hote tirī yādoñ meñ yaqīnan shāmil
gauhar-e-ashk tirī aañkh se barse hote
dāman-e-dil pe unheñ ham to sajā.e rakhte
misl-e-ḳhanjar na agar aap ke jumle hote
uf ye tārīk fazāoñ ka sulagtā jaadū
kaash bikhre tirī yādoñ ke ujāle hote
bad-nasīboñ pe kabhī yuuñ na baraste 'aḳhtar'
ātish-e-ġham meñ agar aap bhī taḌpe hote
naz hote na kahin husn ke ghamze hote
hum na hote to kahan pyar ke charche hote
aaj nazron mein teri hum jo zamane hote
kal fazaon mein bikharte hue naghme hote
sae zulfon ke agar aap ke mahke hote
phul kandhon pe liye apne janaze hote
hum jo hote teri yaadon mein yaqinan shamil
gauhar-e-ashk teri aankh se barse hote
daman-e-dil pe unhen hum to sajae rakhte
misl-e-KHanjar na agar aap ke jumle hote
uf ye tarik fazaon ka sulagta jadu
kash bikhre teri yaadon ke ujale hote
bad-nasibon pe kabhi yun na baraste 'aKHtar'
aatish-e-gham mein agar aap bhi taDpe hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.