naz-o-nazakat shab nahin ab
nāz-o-nazākat shab nahīñ ab
ham ko mohabbat shab nahīñ ab
ek shikāyat thī tum se par
kyā thī shikāyat shab nahīñ ab
umr baḌhī to bachpan rūThā
koī sharārat shab nahīñ ab
jaise-taise jī lete haiñ
rasm-o-rivāyat shab nahīñ ab
chukā rahe haiñ aaj talak bas
kis kī qīmat shab nahīñ ab
yahīñ kisī ik ghar ke the par
nām-pata chhat shab nahīñ ab
rañg chaḌhā hai aisā us kā
apnī aadat shab nahīñ ab
naz-o-nazakat shab nahin ab
hum ko mohabbat shab nahin ab
ek shikayat thi tum se par
kya thi shikayat shab nahin ab
umr baDhi to bachpan ruTha
koi shararat shab nahin ab
jaise-taise ji lete hain
rasm-o-riwayat shab nahin ab
chuka rahe hain aaj talak bas
kis ki qimat shab nahin ab
yahin kisi ek ghar ke the par
nam-pata chhat shab nahin ab
rang chaDha hai aisa us ka
apni aadat shab nahin ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.