naz par ye gudaz kaise hai
naaz par ye gudāz kaise hai
tū haqīqat majāz kaise hai
mujh ko dhaḌkan kā hai sadā dhaḌkā
nā dhaḌakne se baaz kaise hai
ye jahāñ hai jahāñ bhī dekhoge
phir nasheb-o-farāz kaise hai
koī kūfa-o-karbalā meñ shahīd
koī mahmūd ayaaz kaise hai
zindagī kā yā maut kā ho shu.ūr
ye mujhe be-riyāz kaise hai
ai mire ḳhvāb tū agar hai gumāñ
tū haqīqat-navāz kaise hai
jab nahīñ hai kisī ko merā lihāz
mujh ko sab kā lihāz kaise hai
jo nahīñ vaqt kāTte kaTtā
haal kā imtiyāz kaise hai
rashk-e-maḳhlūq aadmī 'āmir'
ik qalam kī bayāz kaise hai
naz par ye gudaz kaise hai
tu haqiqat majaz kaise hai
mujh ko dhaDkan ka hai sada dhaDka
na dhaDakne se baz kaise hai
ye jahan hai jahan bhi dekhoge
phir nasheb-o-faraaz kaise hai
koi kufa-o-karbala mein shahid
koi mahmud ayaz kaise hai
zindagi ka ya maut ka ho shuur
ye mujhe be-riyaz kaise hai
ai mere KHwab tu agar hai guman
tu haqiqat-nawaz kaise hai
jab nahin hai kisi ko mera lihaz
mujh ko sab ka lihaz kaise hai
jo nahin waqt kaTte kaTta
haal ka imtiyaz kaise hai
rashk-e-maKHluq aadmi 'amir'
ek qalam ki bayaz kaise hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.