naz-parwarda-e-jahan tum ho
nāz-parvarda-e-jahāñ tum ho
dard-o-ġham ho jahāñ jahāñ tum ho
ye zamīñ bhī agar nahīñ merī
haa.e kyuuñ zer-e-āsmāñ tum ho
maiñ ne kī thī shikāyat-e-darūñ
be-sabab mujh se bad-gumāñ tum ho
maiñ zamāne se ḳhud samajh letā
vaqt ke mere darmiyāñ tum ho
phūTtī hai vahīñ se dard kī lai
parda-e-sāz meñ jahāñ tum ho
tum ko pā kar bhī sochtā huuñ yahī
kyā faqat ranj-e-rā.egāñ tum ho
naz-parwarda-e-jahan tum ho
dard-o-gham ho jahan jahan tum ho
ye zamin bhi agar nahin meri
hae kyun zer-e-asman tum ho
main ne ki thi shikayat-e-darun
be-sabab mujh se bad-guman tum ho
main zamane se KHud samajh leta
waqt ke mere darmiyan tum ho
phuTti hai wahin se dard ki lai
parda-e-saz mein jahan tum ho
tum ko pa kar bhi sochta hun yahi
kya faqat ranj-e-raegan tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.