naz raston ke uThate hue thak jata hun
naaz rastoñ ke uThāte hue thak jaatā huuñ
maiñ tirī bazm meñ aate hue thak jaatā huuñ
phir na.e ġham kī zarūrat hai mirī ġhazloñ ko
roz kī baat batāte hue thak jaatā huuñ
zindagī tujh se bhī ab rūThne ko dil chāhe
bārhā tujh ko manāte hue thak jaatā huuñ
lab-kushā.ī to karo tum bhī mire haq meñ kabhī
maiñ tumhārā huuñ batāte hue thak jaatā huuñ
qarz kam-zarf se lene meñ hai nuqsān bahut
us kā ehsān chukāte hue thak jaatā huuñ
ilm hotā hai haqīqat meñ jahālat kā javāb
maiñ to asbāq paḌhāte hue thak jaatā huuñ
dil kā vo mail magar saaf nahīñ hotā 'adīb'
haath dushman se milāte hue thak jaatā huuñ
naz raston ke uThate hue thak jata hun
main teri bazm mein aate hue thak jata hun
phir nae gham ki zarurat hai meri ghazlon ko
roz ki baat batate hue thak jata hun
zindagi tujh se bhi ab ruThne ko dil chahe
barha tujh ko manate hue thak jata hun
lab-kushai to karo tum bhi mere haq mein kabhi
main tumhaara hun batate hue thak jata hun
qarz kam-zarf se lene mein hai nuqsan bahut
us ka ehsan chukate hue thak jata hun
ilm hota hai haqiqat mein jahaalat ka jawab
main to asbaq paDhate hue thak jata hun
dil ka wo mail magar saf nahin hota 'adib'
hath dushman se milate hue thak jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.