nazuki hae uske honTon ki
nāzukī haa.e us ke hoñToñ kī
'mīr' ke sher se bhī nāzuk thī
umr ke rāste meñ aa bhaTkī
ek ḳhvāhish abhī jo bachchī thī
us kī sab se hasīn kārīgarī
ek tum aur tumhārā shaidā.ī
raat ke do baje sitāroñ kī
jaane kyoñ aañkh lagte-lagte rahī
kal hameñ zindagī se shikva thā
aur ab maut se shikāyat sī
maut ke āḳhirī farishte ne
phaaḌ kar pheñk dī mirī arzī
merī majbūriyoñ se vābasta
aaj kī sāñjh phuuT kar roī
nazuki hae us ke honTon ki
'mir' ke sher se bhi nazuk thi
umr ke raste mein aa bhaTki
ek KHwahish abhi jo bachchi thi
us ki sab se hasin karigari
ek tum aur tumhaara shaidai
raat ke do baje sitaron ki
jaane kyon aankh lagte-lagte rahi
kal hamein zindagi se shikwa tha
aur ab maut se shikayat si
maut ke aaKHiri farishte ne
phaD kar phenk di meri arzi
meri majburiyon se wabasta
aaj ki sanjh phuT kar roi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.