kabhi main KHud se hi laDta hun zindagi se kabhi
kabhī maiñ ḳhud se hī laḌtā huuñ zindagī se kabhī
maiñ kaam hosh se letā huuñ be-ḳhudī se kabhī
na maar mujh ko kabhī ai sanam tū Thukrā kar
jalā ke dil ko kabhī maar dil-lagī se kabhī
kabhī hue na ujāle mujhe mayassar jab
na jaane kyuuñ nahīñ bantī hai tīrgī se kabhī
kabhī to mujh meñ hai dariyā kabhī to sahrā hai
Darūñ kabhī maiñ ravānī se tishnagī se kabhī
'nabīl' tere liye zindagī hai koh-e-girāñ
ise tū chaḌh nahīñ pā.egā ḳhastagī se kabhī
kabhi main KHud se hi laDta hun zindagi se kabhi
main kaam hosh se leta hun be-KHudi se kabhi
na mar mujh ko kabhi ai sanam tu Thukra kar
jala ke dil ko kabhi mar dil-lagi se kabhi
kabhi hue na ujale mujhe mayassar jab
na jaane kyun nahin banti hai tirgi se kabhi
kabhi to mujh mein hai dariya kabhi to sahra hai
Darun kabhi main rawani se tishnagi se kabhi
'nabil' tere liye zindagi hai koh-e-giran
ise tu chaDh nahin paega KHastagi se kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.