nabz-e-ayyam tere khoj mein chalna chahe
nabz-e-ayyām tire khoj meñ chalnā chāhe
vaqt ḳhud shīsha-e-sā.at se nikalnā chāhe
dastakeñ detā hai paiham mirī shiryānoñ meñ
ek chashma ki jo patthar se ubalnā chāhe
mujh ko manzūr hai vo silsila-e-sañg-e-girāñ
kohkan mujh se agar vaqt badalnā chāhe
tham gayā aa ke dam-e-bāz-pasīñ lab pe vo naam
dil ye motī na ugalnā na nigalnā chāhe
ham to ai daur-e-zamāñ ḳhaak ke zarre Thahre
tū to phūloñ ko bhī qadmoñ meñ masalnā chāhe
kah rahī hai ye zamistāñ kī shab-e-chārdahum
koī parvāna jo is aag meñ jalnā chāhe
umr isī Thokareñ khāne ke amal meñ guzrī
jis tarah sañg Dhalānoñ pe sambhalnā chāhe
sub.h-dam jis ne uchhālā thā fazā meñ ḳhurshed
dil sar-e-shām usī baam pe Dhalnā chāhe
nabz-e-ayyam tere khoj mein chalna chahe
waqt KHud shisha-e-saat se nikalna chahe
dastaken deta hai paiham meri shiryanon mein
ek chashma ki jo patthar se ubalna chahe
mujh ko manzur hai wo silsila-e-sang-e-giran
kohkan mujh se agar waqt badalna chahe
tham gaya aa ke dam-e-baz-pasin lab pe wo nam
dil ye moti na ugalna na nigalna chahe
hum to ai daur-e-zaman KHak ke zarre Thahre
tu to phulon ko bhi qadmon mein masalna chahe
kah rahi hai ye zamistan ki shab-e-chaardahum
koi parwana jo is aag mein jalna chahe
umr isi Thokaren khane ke amal mein guzri
jis tarah sang Dhalanon pe sambhalna chahe
subh-dam jis ne uchhaala tha faza mein KHurshed
dil sar-e-sham usi baam pe Dhalna chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.