nadi ke donon kinaron se baat karte hue
nadī ke donoñ kināroñ se baat karte hue
maiñ rone lagtā huuñ dhāroñ se baat karte hue
pahuñch ke āḳhirī manzil pe chup hī rahnā hai
so ghar se nikle haiñ yāroñ se baat karte hue
koī bhī shak na kare bas isī liye mujh se
vo baat kartā hai sāroñ se baat karte hue
tere alāva vahāñ koī bhī nahīñ thā mirā
kise bulātā ishāroñ se baat karte hue
tamām raat mirā intizār kartā rahā
kal ek chāñd sitāroñ se baat karte hue
ajiib log the guzre to bas guzar hī ga.e
saḌak pe dauḌtī caroñ se baat karte hue
nadi ke donon kinaron se baat karte hue
main rone lagta hun dhaaron se baat karte hue
pahunch ke aaKHiri manzil pe chup hi rahna hai
so ghar se nikle hain yaron se baat karte hue
koi bhi shak na kare bas isi liye mujh se
wo baat karta hai saron se baat karte hue
tere alawa wahan koi bhi nahin tha mera
kise bulata ishaaron se baat karte hue
tamam raat mera intizar karta raha
kal ek chand sitaron se baat karte hue
ajib log the guzre to bas guzar hi gae
saDak pe dauDti caron se baat karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.