nadi ke sath bhi kuchh masala tha
nadi ke sath bhi kuchh masala tha
Raghunandan Sharma Danish
MORE BYRaghunandan Sharma Danish
nadī ke saath bhī kuchh mas.ala thā
samundar kā bhī apnā dā.era thā
duā.eñ kar rahe the naqsh saare
musavvir soch meñ Duubā huā thā
mujhe ḳhud par nadāmat ho rahī thī
maiñ us kī ḳhāmushī ko sun rahā thā
agar sab zaḳhm mere bhar chuke the
to mujh meñ kaun aaheñ bhar rahā thā
añdherā ghar kā duniyā ko dikhāne
darīche par diyā rakhā gayā thā
shajar ke saa.e meñ ham baiThte the
parindoñ se hamārā rābta thā
nadi ke sath bhi kuchh masala tha
samundar ka bhi apna daera tha
duaen kar rahe the naqsh sare
musawwir soch mein Duba hua tha
mujhe KHud par nadamat ho rahi thi
main us ki KHamushi ko sun raha tha
agar sab zaKHm mere bhar chuke the
to mujh mein kaun aahen bhar raha tha
andhera ghar ka duniya ko dikhane
dariche par diya rakha gaya tha
shajar ke sae mein hum baiThte the
parindon se hamara rabta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.