nadi ki lai pe KHud ko ga raha hun
nadī kī lai pe ḳhud ko gā rahā huuñ
maiñ gahre aur gahre jā rahā huuñ
churā lo chāñd tum us samt chhup kar
maiñ shab ko us taraf uljhā rahā huuñ
vo sur meñ sur milānā chāhtī hai
maiñ apnī dhun badaltā jā rahā huuñ
yahī mauqa hai ḳhārij kar duuñ ḳhud ko
maiñ apne aap ko dohrā rahā huuñ
nadi ki lai pe KHud ko ga raha hun
main gahre aur gahre ja raha hun
chura lo chand tum us samt chhup kar
main shab ko us taraf uljha raha hun
wo sur mein sur milana chahti hai
main apni dhun badalta ja raha hun
yahi mauqa hai KHarij kar dun KHud ko
main apne aap ko dohra raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.