nadi ki naw ki ya hauslon ki
nadī kī naav kī yā hausloñ kī
kahānī to sunāo dil-jaloñ kī
jahāñ par rāsta gum ho gayā thā
vahīñ se raah niklī manziloñ kī
merī āñkhoñ se aañsū bah rahe haiñ
sunī thī chīḳh maiñ ne ghāyaloñ kī
samundar ko nazar aa.e na aa.e
udāsī come nahīñ hai sāhiloñ kī
kabhī fursat mile to pūchh lenā
bahut mushkil hai bāteñ mushkiloñ kī
nadi ki naw ki ya hauslon ki
kahani to sunao dil-jalon ki
jahan par rasta gum ho gaya tha
wahin se rah nikli manzilon ki
meri aankhon se aansu bah rahe hain
suni thi chiKH main ne ghayalon ki
samundar ko nazar aae na aae
udasi come nahin hai sahilon ki
kabhi fursat mile to puchh lena
bahut mushkil hai baaten mushkilon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.